Dil ka koi tukda kabhi
Dil se juda hota nahin
Apna koi jaisa bhi ho
Apna hai vo dooja nahin
Yehi vo milan hai jo
Sachmuch hai dil ka karaar kya kehna
Khile khile chehron se aaj
Ghar hai mera gule gulzaar kya kehna
Aye dil laaya hai bahaar
Apnon ka pyaar kya kehna
Milein hum chhalak utha
Khushi ka khumar kya kehna
Kuchh apne hi tak yoon nahin
Yeh hai sawaal sabke liye
Jeena hai toh jag mein jiyo
Banke misaal sabke liye
Dekho kaisa mehek raha
Pyaar bhari baahon ka haar kya kehna
Khile khile chehron se aaj
Ghar hai mera gule gulzaar kya kehna
Aye dil laaya hai bahaar
Apnon ka pyaar kya kehna
Milein hum chhalak utha
Khushi ka khumar kya kehna
Jo ho gaya so ho gaya
Logon se tu darna nahin
Saathi tere hain aur bhi
Duniya mein tu tanha nahin
Saamna karenge milke chaahe
Dus ho chaahe hazaar kya kehna
Khile khile chehron se aaj
Jag hai mera gule gulzaar kya kehna
Aye dil laaya hai bahaar
Apnon ka pyaar kya kehna
Milein hum chhalak utha
Khushi ka khumar kya kehna
Khile khile chehron se aaj
Ghar hai mera gule gulzaar kya kehna
Khile khile chehron se aaj
Ghar hai mera gule gulzaar kya kehna