menu-iconlogo
logo

Afreen Afreen (short)

logo
Liedtext
Verse 1: Rahat Fateh Ali Khan

Aisa dekha nahi khoobsurat koi

Jism jaise Ajanta ki murat koi

Jism jaise nigahon pe jadoo koi

Jism nagma koi jism khushboo koi

Jism jaise mehakti hui chandni

Jism jaise machalti hui ragini

Jism jaise ke khilta hua ik chaman

Jism jaise ke suraj ki pehli kiran

Jism tarsha hua dilkasho dilnashin

Sandli sandli marmari marmari

Husan e jaana ki tareef mumkin nahi

Husan e jaana ki tareef mumkin nahi

Afreen afreen afreen afreen

Tu bhi dekhe agar toh kahe humnashin

Afreen afreen afreen afreen

Husan e jaana ki tareef mumkin nahi

Husan e jaana ki tareef mumkin nahi…

Verse 2: Momina Mustehsan

Jane kaisi bandhi tune akhiyon ke dor

Mann mera khicha chala aaya teri aor

Mere chehre ki subah zulfon ki shaam

Mera sab kuch hai piya ab se tere naam

Nazron ne teri chhua

toh hai ye jadoo hua

Hone lagi hoon main haseen

Afreen afreen afreen

Afreen afreen afreen

Afreen afreen afreen

Afreen afreen afreen

Afreen Afreen (short) von Rahat Fateh Ali Khan/Momina Mustehsan - Songtext & Covers