Panchhi nadiya pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Panchhi nadiya pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Sarhadd insaanon ke liye hain
Socho tumne aur maine
Kya paya insaan hoke
Panchhi nadiya pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Sarhadd insaanon ke liye hain
Socho tumne aur maine
Kya paaya insaan hoke
Jo hum donon panchhi hote
Tairte hum is neele gagan mein
Pankh pasaare
Saari dharti apni hoti
Apne hote saare nazaare
Khuli fizaaon mein udte
Khuli fizaaon mein udte
Apne dilon mein
hum saara
pyaar sama ke
Panchhi nadiya pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Sarhadd insaanon ke liye hain
Socho tumne aur maine
Kya paya insaan hoke
Jo main hoti
nadiya aur tum
Pawan ke jhonke
to kya hota
O jo main hoti
nadiya aur tum
Pawan ke jhonke
to kya hota
Pawan ke jhonke nadee ke tan ko
Jab chhoote hain
Pawan ke jhonke nadi ke tan ko
Jab chhoote hain
Laharein hi laharein banti hain
Hum donon jo milte to kuchh
aisa hota
Sab kehte yeh
lahar lahar
jahan bhi jaaye
Inko na koi toke
Panchhi nadiya pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Sarhadd insaanon ke liye hain
Socho tumne aur maine
Kya paaya insaan hoke
Panchhi nadiya pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke