menu-iconlogo
logo

Lajawab 2

logo
Liedtext
Yeah, yeah

Ab na main karta hoon shayari, na woh padhti Faiz hai (nahin)

Mohabbat jail, jismein hum dono umar-qaid hain (yeah-yeah)

Rahegi gavaah, kabhi bola ussey jhooth nahin (never)

Sawaal karne waale hain, jawab dene ka mood nahin

Chhod ke jaana bhi ek hai hunar se kam nahin

Mujhe chhodne ki zimmedar ab woh khud thi (facts)

Mujhe afsos nahin hai ke woh mujhe chhod gayi

Afsos yeh, woh mujhe chhod ke khush thi (damn)

Jahan tu bole ab, us jagah se main hilta nahin tha (nahin)

Tera toh humshaqal bhi sahi se tujhmein milta nahin tha

Marne se pehle tujhse milna hai har soorat mein (har soorat mein)

Ab usey shikva hai ke Taimour mujhse milta nahin tha

Cheer diya mujhe inhone, rakh do in khaalon ko

Mohabbat ho gayi tumhein, chalo ab mubarak ho

Aur tum kya jaano ke yeh mohabbat kya hoti hai (What is this?)

Mohabbat cheez hi aisi milti qismat walon ko (facts)

Aur andar mere tera diya dard behta hai

Teri hi gali mein, tere bagal mein woh rehta hai

Mujhse poochte, "Yeh dard kaise sehta hai?" (How?)

Kar deta bayaan, Taimour gaano mein sab kehta hai

In aansuon ko kaise rokein hum sab? Aansu toh behta hai

Jo deta dard phir woh wapas dard bhi leta hai

Meri bebasi ka aalam yeh, din bhi guzaarun sog mein

Maanga usne khula aur kaha, "Milenge ab court mein" (damn, damn)

Aa jayenge peeche tere saare haath dho ke (yeah-yeah)

Tu koi anokha nahin, tujhe bhi honge dhoke (yeah)

Tu bhi bolega sabko, yaar, ke main theek hoon (I'm fine, man)

Tu bhi hasega, phir mitayega aansu ro ke (facts)

Aur hum do lehrein hain jo ek hi ban kar behti (ek hi)

Yeh lehrein wafadaar hain, yeh khud se nahin kehti

Main in lehron ke kinaare hi baith ke likh raha geet (geet)

Woh dono lehrein milein, leke baitha yeh ummeed (yeah)

Aur hogi meri jeet jab lehrein milein dobara (dobara)

Lehron ne kiya shor, tera naam jo pukara (yeah-yeah)

Is dariya ka koi zariya nahin hai, dariya seedha jaata hai (facts)

Taimour kitna bura hai, woh gaane bhi toh gaata hai

Waqt guzarta gaya, zindagi ek daud hai

Har qisam ke gham mile, par tera gham kuch aur hai

Woh aankhein jo mere siva kisi ko dekhein na (kisi ko)

Par unn aankhon ka asal haqdaar koi aur hai (right, man)

Sheher-e-dil mein kamata kaise paise main?

Woh qeemat hoti meri, aur tankhwaah kuch aur hai (damn)

Tujhe dhoondhne mein zindagi kar di hai basar

Meri talaash tu, teri talaash koi aur hai (facts)

Poori raat mujhse baatein karke class mein woh so gayi thi (she slept)

Utha diya tha, bas yeh ghalti mujhse ho gayi thi

Mujhe yaad hai ek din school mein main gir gaya tha

Ek maamuli si chot par woh ro gayi thi (I remember that)

Nafrat hai usko mujhse aur mere aane se

Socha bacha lunga mohabbat apni gaane gaane se

Tune apne haath se lagaye hain mere marham

Main chotein bhi lagane laga tha isi bahaane se (damn)

Lagta aise jaise raat-bhar woh soti nahin hai (nahin)

Mohabbat har kisi ko har kisi se hoti nahin hai

Mud ke bhi nahin dekha jab gayi tu dil yeh todkar

Kamane jaata hoon aaraam main aaraam chhod kar

Yeh daastaan suna raha hoon saalgirah ke din

Aaj teri saalgirah hai na? Toh tu aa ke mujhse mil

Happy Birthday to you, aaj tum khushiyan manaao

Kitne dost ban gaye hain uske mujhe nahin batao

Maza aata tha jeene mein jab tum thi mere saath

Agar yeh sun rahi ho tum toh jaan lo yeh baat

Teri yaad mujhe aati toh khatak deta hoon fauran

Aur aaj saalgirah hai teri, yaadein aane doonga aaj

Happy birthday

Lajawab 2 von TAIMOUR BAIG/Raffey Anwar - Songtext & Covers