Agar main kahoon mujhe tumse mohabbat hai 
Meri bas yehi chaahat hai toh kya kahogi 
Agar main kahoon mujhe tumse mohabbat hai 
Meri bas yehi chaahat hai toh kya kahogi 
Main tumse kahoongi is baat ko agar tum 
Zara aur saja ke kehte zara ghooma-phira ke kehte 
Toh achcha hota 
Agar main kahoon 
Tumko jab dekhoon lagti ho jaise nayi 
Honthh hain pankhadi phool ki 
Aankhein jaise jugnu chamke huwe 
Soche mera ye dil dhadakte huwe 
Agar main kahoon 
Agar main kahoon ye jo chehra hai 
Jaise koyi chaand hai toh kya kahogi 
Main tumse kahoongi 
Mujhko bhoole se bhi chaand tum na kaho 
Chaand mein toh kayin daag hai 
Mujhe phool na kehna woh murjhaate hain 
Jugnu bhi na kehna woh kho jaate hain 
Ye baatein puraani hai jo mujhko sunaani hai 
Kissi aur adaa se kehte zara ghooma-phira ke kehte 
Toh achcha hota 
Agar main kahoon mujhe tumse mohabbat hai 
Meri bas yehi chaahat hai toh kya kahogi 
Agar main kahoon 
Baatein sunke tumhaari main hairaan hoon 
Jo bhi kehna hai kaise kahoon 
Lagta tumhein kuchh bhi achcha nahin 
Sach ko bhi kehti ho sachcha nahin 
Agar main kahoon 
Agar main kahoon tumhein pata nahin hai kyun 
Hai pyaar mujhe bhi tumse toh kya kahoge 
Main tumse kahoonga mere dil ka hai ye kehna 
Ham ko hai saath mein rehna 
Ye dono ke dil mein hai na toh phir kyun kehna 
Agar main kahoon toh main tumse kahoongi