Mohabbat barsa dena tu, sawan aaya hai 
Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai 
Mohabbat barsa dena tu, sawan aaya hai 
Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai 
Sabse chupa ke tujhe seene se lagana hai 
Pyaar mein tere hadd se guzar jaana hai 
Itna pyar kisi pe, pehli baar aaya hai 
Mohabbat barsa dena tu, sawan aaya hai 
Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai 
(Instrumental Break) 
Kyun ek pal ki, bhi judaai sahi jaaye na 
Kyun har subah tu, meri saanson mein samaye na 
Aaja na tu mere paas, doonga itna pyaar mein 
Kitni raat guzaari hai, tere intezaar mein 
Kaise bataun, jazbaat ye mere 
Maine khud se bhi jyaada, tujhe chaaha hai 
Sab kuch chodd ke aana tu, sawan aaya hai 
Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai 
Sabse chupa ke tujhe seene se lagana hai 
Pyaar mein tere hadd se guzar jaana hai 
Itna pyar kisi pe, pehli baar aaya hai 
(Instrumental Break) 
Bheege bheege tere labb, mujhko kuch kehte hain 
Dil hai khush mera, ki khayal ek jaise hain 
Roko na ab khud ko yun, sun lo dil ki baat ko 
Dhal jaane do shaam aur, aa jaane do raat ko 
Kitna haseen ye lamha hai, kismat se maine churaya hai 
Aaj ki raat na jaana tu, sawan aaya hai 
Tere aur mere milna ka, mausam aaya hai 
Sabse chupa ke tujhe seene se lagana hai 
Pyaar mein tere hadd se guzar jaana hai 
Itna pyar kisi pe, pehli baar aaya hai 
Comments