menu-iconlogo
logo

December Ft WASEEM

logo
Lyrics
Bheega bheega sa yeh December hai

Bheegi bheegi si tanhai hai

In kitaabon main jee nahin lagta

Hum ko sajni ki yaad aai hai

Bheega bheega sa December hai

Shaam ki kaali aankhain

Jab palkon ko chapkaati hain

Kissi pair kay neechay

Kuch yaadain gungunaati hain

Kuch pyar kay aadhay nagmay

Aadhi pyar ki kahaani

Aik shehar ka raja

Aur ek gaon ki rani

Donon baray premi thay

Ban main aaya kartay thay

Unkay pyar kay meethay nagmay

Panchi gaaya kartay thay

Ab na premi hain

Na woh baatain hain

Aur yaadain hi apni kamai hai

In kitaabon main jee nahin lagta

Hum ko sajni ki yaaad aaaai hai

Haha

Dudu haha lala

Is kamray ki khirki

Baarish ka shor sunati hai

Aur tumhari aahat

Hum ko yeh rog lagaati hai

Ab kay saal December

Main jab ban main mein jaoon ga

Neeli jheel darakhton

Kay saayay aur sookhay pattay

Saaray tera poochain gain

Kahan hai tera poochain gain

Tera premi yaar kahan hai

Saaray tera poochain gain

Kya bataoon ga

Kya kahaani hai

Ab to qismat main apni judai hai

In kitaabon main jee nahin lagta

Hum ko sajni ki yaaad aai hai

Shaam dhallay jab panchi

Apnay apnay ghar jaatay hain

Koi mujhay batlayay

Mujhko yeh kyun tarpaatay hain

Mainay bhi ek sapna

Dekha tha apnay ghar ka

Kho na jaye mera panchi

Lekin mujhko darr tha

Mera yeh afsaana hai

Saara yeh afsaana hai

Mera panchi rasta bhoola

Pagal hai anjaana hai

Tu gaya hai to

Mainay jaana hai

Mera dil ab bhi tera deewana hai

In kitaabon main jee nahin lagta

Humko sajni ki yaad aai hai

Bheega bheega sa yeh December hai

Bheegi bheegi si tanhai hai

In kitaabon main jee nahin lagta

Hum ko sajni ki yaaad aai hai

December Ft WASEEM by Abrar Ul Haq - Lyrics & Covers