Marham-marham hai jaise aana tera
Mere naazuk dil ko sehlaana tera
Meri sooni-sooni raaton ka tu chaand ve, jaaneya
Jaaneya
Tera milna bada ittefaaqi sa hai
Main hoon pyaasa bahut aur tu saaqi sa hai
Hai dua, ya dawa, ya nasha hai kya tu? (Hey)
Kabhi poochhe jo hans ke tu haal mere
Bhar jaayein zakham wo jo bhar na sake
Teri sohbat mein jaana kya hota sukoon (hey)
Haule haath mere chehre par lagaana tera
Aur ret ki tarah bikhar jaana mera
Saansein gehri bharoon, neend meethi si loon
Teri baahein ho jo sirhaana mera
Marham-marham hai jaise aana tera
Mere naazuk dil ko sehlaana tera
Meri sooni-sooni raaton ka tu chaand ve, jaaneya
Jaaneya
Marham-marham hai jaise...
Tu hai, kya tu hai, kahoon main ke kya hai tu
Dil ru-ba-ru hai, jo mujhse mila hai tu
Tu hai, kya tu hai, kahoon main ke kya hai tu
Dil ru-ba-ru hai, jo mujhse mila hai
Dard gehra hai, sehra mein baarish hai tu
Dil ye thehra hai, tujhpe har khwaahish hai tu
Gham se bhare jo bhi kash main bharoon
Mere haathon se lekar bujhaana tera
Marham-marham hai jaise aana tera
Mere naazuk dil ko sehlaana tera
Meri sooni-sooni raaton ka tu chaand ve, jaaneya
Jaaneya
Marham-marham hai jaise...