Akalay na jaana - Ahmad Rushdi
####
Akalay na jaana, hamay chor kar tum
Tumharay bina hum bhala kya jiyen ge
Akalay na jaana, hamay chor kar tum
Tumharay bina hum bhala kya jiyen ge
Akalay na jaana
####
####
Diya hosla jisnay jeenay ka hum ko
Woh ik khoobsurat saa ahsaas ho tum
Jo mit ta nahi dil say, tum woh yakeen ho
Hamesha jo rahti hay woh aas ho tum
Yeh socha hay hum nay, kay ab zindagi bhaar
Tumhari muhabbat ko sajda karein ge
Akaylay naa jaana
####
####
Fasana jo ulfat ka chera hay tum nay
Adhoora na rah jaye, yeh soch lena
Bicher kay zamanay say paaya hay tum ko
Kahi saath tum bhi naa ab chor dena
Yehi hay tamana
Yehi iltijaa hay
Aur iss kay siwa hum bhala kya kahein ge
Akaylay na jaaa, hamay chor kar tum,
Tumharay bina hum bhala kya jiyen ge
####
####
Bohat dukh diye hein hamein zindagi ne
Hamein aur gham ab na tum de ke jaao
Nigahon ke sehmi hui ilti~jaaien ,
Sada de rahi hein ke ab laut aao,
Karo yaad tum ne ye waada kiya thaa,
Ke ik doosrey ke sahara banein ge,
Akalay na jaana, hamay chor kar tum
Tumharay bina hum bhala kya jiyen ge
Akalay na jaana
####
Thank You
####