Aa aa aa aa aa aa aa aa aa aa aa aa aa aa aa
Saawan ke suhaane mausam me
Saawan ke suhaane mausam me
Ek roop ki rani yaad aayi
Wo baagh ka manzar yaad aaya
Jhoolon ki kahaani yaad aayi
Saawan ke suhaane mausam me
Madhosh faza mastana samaa
Badal ka wo jhukna kheton par
Madhosh faza mastana samaa
Badal ka wo jhukna kheton par
Yun mast hawa lahrane lagi
Yun mast hawa lahrane lagi
Chundri koi dhaani yaad aayi
Wo baagh ka manzar yaad aaya
Jhoolon ki kahaani yaad aayi
Saawan ke suhaane mausam me
Koyal ki malhaaren matwaali
Moron ke tarane mastaane
Koyal ki malhaaren matwaali
Moron ke tarane mastaane
Rimjhim ka wo aalam kya kahiye
Rimjhim ka wo aalam kya kahiye
Wo baat purani yaad aayi
Wo baagh ka manzar yaad aaya
Jhoolon ki kahaani yaad aayi
Saawan ke suhaane mausam me
Har simt basanti phool khile
Har simt basanti phool khile
Gulshan me bahaaren jab aayin
Har simt basanti phool khile
Gulshan me bahaaren jab aayin
Jo saath kisi ke guzri thi
Jo saath kisi ke guzri thi
Wo shaam suhaani yaad aayi
Wo baagh ka manzar yaad aaya
Jhoolon ki kahaani yaad aayi
Saawan ke suhaane mausam me