Awara hoon, awara hoon 
Ya gardish mein hoon 
Aasman ka tara hoon.. 
Awara hoon, awara hoon 
Ya gardish mein hoon 
Aasman ka tara hoon.. 
Awara hoon, awara hoon 
Ghar-baar nahin, sansar nahin 
Mujhse kisi ko pyar nahin 
Mujhse kisi ko pyar nahin 
Us paar kisi se milne ka iqrar nahin 
Mujhse kisi ko pyar nahin 
Mujhse kisi ko pyar nahin 
Sunsan nagar anjaan dagar ka pyara hoon 
 Awara hoon, awara hoon 
Ya gardish mein hoon 
Aasman ka tara hoon.. awara hoon.. 
Aabaad nahin barbaad sahi 
Gata hoon khushi ke geet magar 
Gata hoon khushi ke geet magar 
Zakhmon se bhara seena hai mera 
Hansti hai magar yeh mast nazar 
Duniya.. aa.. aa.. 
Duniya mein tere teer ka 
Ya taqdeer ka mara hoon 
Awara hoon, awara hoon 
Ya gardish mein hoon 
Aasman ka tara hoon.. 
Awara hoon, awara hoon, awara hoon