Han dard beete haal ka mein ab batana chahta hun
Puchne se pehle hi mein khud jatana chahta hun
Ki kya hai mere paas mein, Jo ab bhi betha aas mein
Mein hun bas yahaan
Kagzon ke panno pe bas dasthakhein mein de raha
Aaj bhi ye haathon ki likhai se hun pal raha
Ye zindagi hai khushnuma toh jeeteji kyu marr raha
Ek ek aanshu ka ye dard mein piro raha
Chalte chalte is safar mein sikhte hum jaayenge
Zero ki kya power hai woh hum tumhein btayeinge
Bhool nahi paayenge hum bhool nahi paayenge
Jo bhi utter hoga uska kaam se btayenge
Sapno ki tabeer mein bas yun hi bunta jaaunga
Ek ek karke mein haqqiqat mein laaunga
Kuch toh kar mein jaaunga han kuch toh kar mein jaaunga
Marke bhi ye gaanon ke saahare yaad aaunga
Zindagi ke ye safar mein paake sab kuch khoya
Rishton ke janjaal me apno ka na mein hoya
Mene kuch na paaya ye jahaan mein kuch na paaya
Music meri maashuka aur mein bas iska saaya
Han khwabon ke parindon ko bhi kya kisi ne roka
Bhool kese ye gye kya mein hawa ka jhonka
Dard ko hmesha mene gaano mein piroya
Dekh haalat meri aaj Khuda bhi mera roya!
Mujhe jeene do
Mujhe jeene do
Khwaab peerone do
Mujhe jeene do
Mujhe jeene do