Saathiya, saathiya
Madham-madham teri geeli hasi
Saathiya, saathiya
Sunke humne saari pee lee hasi
Hasti rahe, tu hasti rahe, haya ki laali khilti rahe
Zulf ke neeche gardan pe subah-o-shaam milti rahe
Saundhi si hasi teri khilti rahe, milti rahe
Peeli dhoop pehanke tum, dekho, baagh mein mat jaana
Bhawre tum ko sab chhedenge, phoolon mein mat jaana
Madham-madham has de phir se
Shona-shona phir se hans de
Taaza gire patte ki tarah, sabz lawn par lete huye
Saat rang hai bahaaron ke, ek ada mein lapete huye
Saawan-bhaadon saare tum se
Mausam-mausam haste rehna
Madham-madham haste rehna
Saathiya, saathiya
Madham-madham teri geeli hasi
Saathiya, saathiya
Sunke humne saari pee lee hasi
Kabhi neele aasmaan pe, chalo ghoomne chale hum
Koi abrr mil gaya toh zameen pe baras le hum
Teri baali hil gayi hai
Kabhi shab chamak uthi hai
Kabhi shaam khil gayi hai
Tere baalon ki panaah mein iss siyaah raat guzre
Teri kaali kaali aankhein, koi ujli baat utre
Teri ek hasi ke badle meri yeh zameen le le
Mera aasmaan le-le
Saathiya, saathiya
Madham-madham teri geeli hasi
Saathiya, saathiya
Sunke humne saari pee lee hasi
Barf giri ho vaadi mein, oon mein lipti-simti hui
Barf giri ho vaadi mein aur hasi teri goonje
Oon mein lipti simti hui, baat kare dhuaan nikle
Garam-garam ujla dhuaan, naram-naram ujla dhuaan
Saathiya, saathiya
Madham-madham teri geeli hasi