Jo teri khaatir tadpe pehle se hi, kya usey tadpaana?
Oh, zaalima, oh, zaalima
Jo tere ishq mein behka pehle se hi, kya usey behkaana?
Oh, zaalima, oh, zaalima
Aankhein marhaba, baatein marhaba
Main sau martaba deewana hua
Mera na raha, jab se dil mera
Tere husn ka nishana hua
Jiski har dhadkan tu ho, aise dil ko kya dhadkaana?
Oh, zaalima, oh, zaalima
Saanson mein teri nazdeekiyon ka
Itr tu ghol de, ghol de
Main hi kyun ishq zaahir karoon?
Tu bhi kabhi bol de, bol de
Leke jaan hi jaayega meri
Qaatil har tera bahana hua
Tujhse hi shuru, tujhpe hi khatam
Mere pyaar ka fasana hua
Tu shamma hai toh yaad rakhna main bhi hoon parwana
Oh, zaalima, oh, zaalima
Deedaar tera milne ke baad hi chhoote meri angdaayi
Tu hi bata de, kyun "Zaalima" main kehlaayi?
Jo teri khaatir tadpe pehle se hi, kya usey tadpaana?
Oh, zaalima, oh, zaalima