menu-iconlogo
logo

Khamoshiyaan

logo
Lyrics
Khamoshiyan aawaaz hain

Tum sun’ne to aao kabhi

Chhukar tumhe khill jaayengi

Ghar inko bulaao kabhi

Beqarar hain baat karne ko

Kehne do inko zaraa..

Khamoshiyan.. teri meri khamoshiyan

Khamoshiyan.. lipti hui khamoshiyan

Kya uss gali mein kabhi tera jaana hua

Jahaan se zamaane ko guzre zamaana hua

Mera samay toh wahin pe hai thehra hua

Bataaun tumhe kya mere sath kya kya hua

Khamoshiyan alfaaz hain

Kabhi aa gunguna le zara

Beqarar hain baat karne ko

Kehne do inko zaraa.. haa..

Khamoshiyan.. teri meri khamoshiyan

Khamoshiyan.. lipti hui khamoshiyan