Ghar se nikalte hi
Kuchh door chalte hi
Raste mein hai uska ghar
Pehli dafaa maine
Jab usko dekha to
Saansein gayi yeh thehar
Rehti hai dil mein mere
Kaise bataun usse
Main to nahi keh saka
Koyi bata de usse
Ghar se nikalte hi
Kuchh door chalte hi
Raste mein hai uska ghar
Uski gali mein hai dhali
Kitni hi shaamein meri
Dekhe kabhi woh jo mujhe
Khushbu mehakne lagi
Maine tareeke sau aazmaye
Jaake usse na kuchh bol paye
Baithe rahe hum raat bhar
Jo paas jaata hoon
Sab bhool jaata hoon
Milti hai jab yeh nazar
Ghar se nikalte hi
Kuchh door chalte hi
Raste mein hai uska ghar
Na na na..