menu-iconlogo
logo

Main Rahoon Ya Na Rahoon

logo
Lyrics
Main rahoon ya na rahoon

Tum mujh mein kahin baaki rehna

Mujhe neend aaye jo aakhiri

Tum khwabon mein aate rehna

Bas itna hai tumse kehna ( 4)

Main rahoon ya na rahoon

Tum mujhme kahin baaki rehna

Kisi roz baarish jo aaye

Samajh lena boondon mein main hoon

Subah dhoop tumko sataaye

Samajh lena kirno mein main hoon ( 2)

Kuch kahun ya na kahun

Tum mujhko sada sunte rehna

Bas itna hai tumse kehna ( 4)

Hawaaon mein lipta hua main

Guzar jaaunga tumko chhu ke

Agar mann ho to rok lena

Thehar jaaunga in labon pe ( 2)

Main dikhu ya na dikhu

Tum mujhko mehsoos karna

Bas itna hai tumse kehna ( 4)

Hmm..

Bas itna hai tumse kehna ( 4)

Main rahun ya na rahun

Tum mujh mein kahin baaki rehna..

Main Rahoon Ya Na Rahoon by Armaan Malik - Lyrics & Covers