Abhi na jaao chhod kar
Ke dil abhi bhara nahi
Abhi na jaao chhod kar
Ke dil abhi bhara nahi
Abhi abhi to aayee ho
Abhi abhi to
Abhi abhi to aayee ho
Bahaar banke chhayee ho
Havaa zara mahak to le
Nazar zara bahak to le
Ye shaam dhal to le zara
Ye shaam dhal to le zara
Ye dil sambhal to le zara
Mai thodi der jee to loon
Nashe ke ghoont pee to loon
Nashe ke ghoont pee to lun
Abhi to kuchh kahaa nahi
Abhi to kuchh sunaa nahi
Abhi na jaao chhod kar
Ke dil abhi bhara nahi
Sitaare jhilmilaa uthe
Sitaare jhilmilaa uthe
Charaag jagmagaa uthe
Bas ab na mujhko toknaa
Bas ab na mujhko toknaa
Na badhke raah roknaa
Agar mai ruk gai abhi
To jaa na paaungi kabhi
Yahi kahoge tum sadaa
Ke dil abhi nahi bhara
Jo khatm ho kisi jagah
Ye aisaa silsilaa nahi
Abhi nahi abhi nahi
Nahi nahi nahi nahi
Abhi na jaao chhod kar
Ke dil abhi bhara nahi
Adhuri aas
Adhuri aas chhod ke
Adhuri pyaas chhod ke
Jo roz yunhi jaaogi
To kis tarah nibhaaogi
Ke zindagi ki raah mein
Jawan dilon ki chaah mein
Kayee maqaam aayeinge
Jo hum ko aazmaaege
Buraa na maano baat kaa
Ye pyaar hai gilaa nahi
Haan yahi kahoge tum sadaa
Ke dil abhi bhara nahi
Haan dil abhi bhara nahi
Nahi nahi nahi nahi