menu-iconlogo
huatong
huatong
avatar

Babul ka yah gar bahna by cute bacha

ASHOK PATELhuatong
R🅰️Ⓜ️❤🅿️🅰️TEL❤JSMhuatong
Lyrics
Recordings
babul ka yeh ghar behna

kuch din ka thikana hai

banake dulhan ek din

tujhe piya ghar jaana hai

baapu tere angan ki

main tho ek kali hoon

is angan ko chod kyun

kiss aur ka ghar sajana hai

beti ghar babul ke

kissi aur ki amanat hai

dastoor duniya ka

hum sab ko nibhana hai

maiya tere anchal ki

main to ek gudiya re

tune mujhe janam diya

tera ghar kyun begana hai

maiya pe kya beet rahi

behna tu ye kya jaane

kaleje ke tukde ko

roh roh ke bhulana hai

bhaiya tere baag ki

main kaise chidiya re

raat bhar besara hai

subha udd jaana hai

behna tere bachpan ki

yaadei ham sab ko satayengi

phir bhi teri doli ko

kaandha to lagana hai

babul ka yeh ghar behna

kuch din ka thikana hai

banke dulhan ek din

tujhe piya ghar jaana hai

More From ASHOK PATEL

See alllogo

You May Like