menu-iconlogo
logo

Kabhi pyase ko pani pilaya nahi v

logo
avatar
Bhaktilogo
😈GuruBhai😈logo
Sing in App
Lyrics
Kabhi pyase ko pani pilaya nahi

Baad amrit pilane se kya fayada

Kabhi girate huve ko uthaya nahi

Baad aansu bahane se kya fayada

Mai to mandir gai, puja aarti ki

Puja karte huye ye khayal aa gai

Kabhi maa baap ki sewa ki hi nahi

Sirf puja ke karne se kya fayada

Kabhi pyase ko pani pilaya nahi

Baad amrit pilane se kya fayada

Mai to satsang gai guruvani sooni

Guruvani ko sunkar khayal aa gai

Janma manav ka leke daya na kari

Fir manav kahlane se kya fayada

Kabhi pyase ko pani pilaya nahi

Baad amrit pilane se kya fayada

Maine daan kiya maine japtap kiya

Daan karte huye ye khayal aa gai

Kabhi bhukhe ko bhojan khilaya nahi

Daan lakho ka karne se kya fayada

Kabhi pyase ko pani pilaya nahi

Baad amrit pilane se kya fayada

Ganga nahane haridwar kashi gai

Ganga nahate hi man meinin khayal aa gai

Tan ko dhoya magar man ko dhoya nahi

Fir ganga nahane se kya fayada

Kabhi pyase ko pani pilaya nahi

Baad amrit pilane se kya faida

Maine ved padhe maine shashtra padhe

Shashtra padhate huye ye khayal aa gai

Maine gyan kisi ko bata nahi

Fir gyani kahelane se kya fayada

Kabhi pyase ko pani pilaya nahi

Baad amrit pilane se kya fayada

Maat pita ke hi charno meinin charo dham hai

Aaja aaja yahi mukti ka dham hai

Pita mata ki sewa ki hi nahi

Fir tirtho meinin jane se kya fayada

Kabhi pyase ko pani pilaya nahi

Baad amrit pilane se kya faida

Kabhi girate huve ko uthaya nahi

Baad aansu bahane se kya fayada

Kabhi pyase ko pani pilaya nahi v by Bhakti - Lyrics & Covers