Hmm-mm-mm-mm-mm
Jaana, tu aata nahi
Sapno se jaata nahi
Mil jaaye, kya hee baat thi
Kaamil ho jaati wahi
Ha, main tere sawaalo ka manzar hoon
Jo tu maange, jawabo mein rehti hoon
Main bhi sochu wo pal saare mil jaaye
Teri hoke na teri hee rehti hoon
Main bhi chahoon yahi pe tu ruk jaana
Kitna chaha tha mujhko ye keh jaana
Teri mujhse doori main hone nahi deti
Har lamha main khud se ye kehti hoon
Tu aata nahi
Sapno se jaata nahi
Mil jaaye, kya hee baat thi
Kaamil ho jaati wahi
Jo bhi ho raaz tera
Mujhko batata nahi
Mil jaaye, kya hee baat thi
Kaamil ho jaati wahi
Sambhaal ke rakha wo phool mera tu
Meri shayari mein zaroor raha tu
Jo aankho mein pyaari si duniya basaayi
Wo duniya bhi tha tu, wo lamha bhi tha tu
Ha, lagte hain mujhko wo kisse sataane
Deta na dil mera tujhko bhulaane
Adhoore se vaade, adhoori si raatein
Ab hissе mein daakhil mere bas wo yaadеin
Rehna tha ban ke humdum tera
Aise jaana hee tha, phir tu kyun thehra?
Ab na maane mera dil, kyun na tere qaabil?
Thi ik aarzu ki main kehti rahi par
Tu aata nahi
Sapno se jaata nahi
Mil jaaye, kya hee baat thi
Kaamil ho jaati wahi
Jo bhi ho raaz tera
Mujhko batata nahi
Mil jaaye, kya hee baat thi
Kaamil ho jaati wahi