Insaan ki awaam me jazbaat hee na shamil
Muthhi bhar ki chalti hai aur usme aadhe kaatil
Rangbhed, jaatpaat, jang khoon
Bhedchaal, kaumvaad, kattarbaaz
Moti khaal, gandi chaal
Battar haal aaj hai dimag ka
Jaise jaise badh raha ye vastu prem
Waise waise jal raha hai antarmann
Haiwan sa
Na jaane kitne George Floyd, boys locker
School shootings, quiet victims throat slit
Aur raqt uska beh gaya
Eye witness ? vo kaudi me hee bik gaya
Bik gaya vo panna jispe zulm aur kurbaani hai
Jitno ne nirdosho ko masla
Vo masla bas unki zubani me, paani me
Kaun kitna ghus chuka vo na pata damn
Paani nahi hai
Vaani par kathor hai, lagte log josh
Me
Insta aur Facebook pe lambe lambe post hai
Par ginti ka vo logic baaki dange wale source hain
Sabse raddi muddo pe hain chalte hoth zor se
Kal r**e ho gaya to saare hoth gum
Kaha gaya vo shor, vo sabhao ka guroor
Maatra bhoomi ke vachan, azaadi ka jatan
Lahu sana badan choor choor ho gaya
Uss pyari maa ka har swapan
Na lautega eklauta uske dil ka vo ratan
Saari aas lage khaak
Gunaaho ki kitaabo me har panne ko jaladien hum
Dafn karde ye zulm apne ya sab
Chupa le hum
To bhi bache inn haatho me khoon ke itne nishaan
Ke san sake khoon se har disha, sau dafa, har disha
Akhbaar jab bhi kholu mera sar hai itna fat ta
Gyan ki jagah bas isme dikhe biki lajja
Iske oopar andhadhund logo ke opinions
Online status-stories karna hai to please ghar jaa
Sorry, aap to pehle se hee baithe gharme
Softie cozy blanket me sab lage offensive
Incentive ke vo bhookhe jinko karni nahi varjish
Ulta varjish karne wale dabjaate hain under taxes
Aur youth aadha hamara misinterpreted modernity
Sashakt adhunikta ko banaliya celeb-city
Bully pe LMAO then let's talk about some mental peace
Hypocrisy chupa na paye to "f**u and your family"
Charh me na badalta sabkuch baithe on bed
Real life hai ye, na chalta yaha gauntlet
Vo sins jinka hisaab dete hum chand laakho me
Kabhi mudkar koi poochega uski beti se
Jiske pita ko cheena sarhad ke kono ne
Padhti papa sirf kitabo me
Bohot goals bade sapne, sab rakhe hain maine
Par ek baat dil me mai hardam bachake rakhta
Ke pyar baatna hai jisko bair na pata
Aur aukaat baatni hai jisko pyar se ghrina
Yun to har ghadi bas meri ek hee dua
Ke pal paye sachhai aur insaniyat yaha
Aur kat bhi jau agar kabhi mai sach bechte
Pyar hee bahe bas mere khoon se waha
Saari aas lage khaak
Gunaaho ki kitaabo me har panne ko jaladien hum
Dafn karde ye zulm apne ya sab chupa lena hum
To bhi bache inn haatho me khoon ke itne nishaan
Ke san sake khoon se har disha, sau dafa, har disha
Na jaane aisi baatien kyi baar kehdi
Kitno ne
Kitno ne ye socha ki badlenge hum iss duniya ko
Maseehe bhi utre jinhone koshish kar saware log
Par koshish ke motive ko sabne kardiya kinare, woah
Nelson mandela, malala, martin luther, teresa
Jaisi kitni hastiyo ka naam ansuna sa
Dikh jaaye jo surkhiyo me veer ek
Bhi
Bas uski hee kahani apne bachho ko sunana
Fir dikhana kaise jee rahi hai srishti aajtak
Kitnone udheda aur fir leli jaan tak
Par kurbani jo thi karoro dilo jaan se
Bachati gyi hame yahake har malaal se
Filhaal nazm likhte dil dukh raha hai mera bohot zyada
Par bachpan me padha tha
Moral science maine thoda zyada
Tabhi to lag jaati poori jaan iss kaam me
Chahe lafz-e-badlaav me lage
Janam mujhko sau se zyada