kaise woh beete the
chaar mahine the
kaise bataaun main
kaise samjhaaun main
tujhko choona tha
haan main soona tha
din bhi gin gin ke
kaate mushkil se
800 din abhi baaki hain
phikr aur yaad sataati hai
main tu yahan wahan
dhoondun kahan kahan
kabhi kabhi tu dar jaati hai
sapno ke rang par gaati hai
ham chale jaaye wahan
koi nahi aaye jahan
kya woh soch thi
gandi chot thi
aasoon beh gaye
band hi naa hue
kya woh dard tha
chalta hi gaya
raat bhar woh chala
subah uth gaye
lambi woh raatein thi
taazi woh yaadein thi
tujhko khoya tha
bhaari woh saansein thi
sochi jo baatein thi
ab naa kuch raahein thi
jo ye barsaatein thi
bheegi si aankhein thi
800 din abhi baaki hain
phikr aur yaad sataati hai
main tu yahan wahan
dhoondun kahan kahan
kabhi kabhi tu dar jaati hai
sapno ke rang par gaati hai
ham chale jaaye wahan
koi nahi aaye jahan
tune hi toh khud ko roka hai
paisa waisa sab ye toh dhoka
woh sab us jagah
main tu iss tarah
kya tune kabhi nahi socha hai
kitna pyaara ye hamaara sapna hai
khoon paseena baha
har din raat baha