Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana
Aa dil main tujhay rakhloon
aie jalwa e janana
Bas itna karam karna
aye chashme kareemana
Jab Jaan Laboun Per ho Tum Samne Aa jana
Dunya main mujhay tu
ne gar Apna banaya hai
Mehshar mein bhi keh daina
yeah hai mera deewana
Aa dil main tujhay rakhloon
aie jalwa e janana
Jee chahta tuhfay main
bhaijoon main unhain Ankhain
Darshan ka to darshan
ho Nazrane ka Nazrana
Peeney ko to pee loun ga
per araz zara see hai
Ajmair ka saqi ho baghdad ka maikhana
Aa dil main tujhay rakhloon
aie jalwa e janana
Kyun aankh milai thi,
kyoon aag lagai thee
Aab rukh ko chupa baithay
kar kay mujhay deewana
Main Hosh hawaas apne
es baat pe kho baitha
Hans ker jo kaha tu ne aaya mera deewana
Zahid meri kismat mein
sajday hain usi dar kay
Chuta hai na chuthay
ga s e dar e janana.
Kiya lutf ho mehshar mein
main shikway kiye jaoon
Woh haskay kahay jayein
deewana hai dewana.
Aa dil main tujhay rakhloon
aie jalwa e janana
Aa dil main tujhay rakhloon
aie jalwa e janana