Judaa hum ho gaye maana 
Magar yeh jaan lo jaana 
Judaa hum ho gaye maana 
Magar yeh jaan lo jaana 
Kabhi main yaad aaun toh 
Chale aana, chale aana 
Tumhe main bhul jaaunga 
Yeh baatein dil mein na laana 
Kabhi main yaad aaun toh 
Chale aana, chale aana 
Tha kaun mera, ek tu hi tha 
Saanson se zyada jo zaroori tha 
Tere liye main kuch nahi lekin 
Mere liye tu mera sab kuch tha 
Nahi jaana bhula kar ke 
Yeh baatein tum hi kehte the 
Rahi khushiyan nahin meri 
Ke tum bhi waqt jaise the 
Tumhara tha rahega bhi 
kare kya dil hai deewana 
Kabhi main yaad aaun toh 
Chale aana, chale aana 
Maine tumhari baat maani hai 
Maine manaya dil ko hai kaise 
Abse raho tum khush jaha bhi ho 
Mera tumhara tha bhi kya waise 
Bhale doori rahe jitni 
Nigahon se nigahon ki 
Magar khwabon ki duniya mein 
Milunga tumse rozana 
Yahin tak tha safar apna 
Tumhe hai laut kar jaana 
Kabhi main yaad aaun toh 
Chale aana, chale aana 
Na ra, na ra 
Chale aana, chale aana...