menu-iconlogo
huatong
huatong
avatar

Chaudahvi Raat ke chaand@Anurag Jha

Gulzar/Bhupendra Singhhuatong
🗽💖🇺🇸🅰️nurag❣️Ruh❣️huatong
Lyrics
Recordings
MUSIC

Gulzaar speaks

Woh jo shair tha

Kacche pakke se lamhe chunta tha

Aur aksar apni hi awaaj ke paas baith ke gungunaya karta tha

Us shayar ne Ek baar ek sham Bhupinder ke saath yun guzari

Jaise koi khayal apni awaaj ke paas aakar baith gaya ho

Awaaz aur khayal ek ho gaye

In nazmon me Bhupi shayar bhi hai aur gayak bhi

Kabhi chaudahvi raat ke chaand ko

ek aise lamhe ki tarah dekhta hai jisme woh apni Mehbooba ka husn bardassht nahi kar sakta

Aur kabhi shaam ki shafaq dekh kar use gulaal bana leta hai

Haathon me mal leta hai aur usi lamhe se khelne lagta hai

Bhupi ki awaaz har lamhe se pyaar karti hui mehsoos hoti hai

Woh lamha milan ka ho, hizr ka, birha ka ya intezaar ka

Kabhi ek mod par baith ke intezaar karta hai

Is mode se jaati hain har ek taraf rahein

Woh kaun sa rasta hai jis raah pe jaana hai

Kabhi baithe baithe thak jaata hai

Aur Kabji chalte chalte thakne lagta hai

Paanv behis hain chalte jaate hain

Kitne barson se kitni sadiyon se

Pal gujarte hain aur who bhi kucch is tarah se

Ke thehre hue hain aur gujarte nahin

Kabhi thaki haari saaonson mein dard sahalane lagta hai

Aur kabhi sanson me uljhi hui nazm sanwaarene lagta hai

Nazm sanwarte sanwarte rk naam par aake ruk jaati hai

Janam!!

MUSIC

Bhupinder voice starts

Chaudhavin raat ke is chaand tale

MUSIC

Chaudhavin raat ke is chaand tale

Surmai raat mein sahil ke kareeb

Doodhiya jode mein aa jaye jo tu

Chaudhavin raat ke is chaand tale

Music

Surmai raat mein sahil ke kareeb

Doodhiya jode mein aa jaye jo tu

Surmai raat mein sahil ke kareeb

Doodhiya jode mein aa jaye jo tu

Isa ke haathon se gir jaye saleeb

Kasam se

Kasam se

Isa ke haathon se gir jaye saleeb

Chaudhavin raat ke is chaand tale

Chaudhavin raat ke is chaand tale

Music

Surmai raat mein sahil ke kareeb

Doodhiya jode mein aa jaye jo tu

Surmai raat mein sahil ke kareeb

Doodhiya jode mein aa jaye jo tu

Buut ka dhyaan bhi ukhad jaaye

Kasam se

Kasam se

Buut Ka dhyaan bhi ukhad jaaye

Chaudhavin raat ke is chaand tale

Chaudhavin raat ke is chaand tale

Music

Surmai raat mein sahil ke kareeb

Doodhiya jode mein aa jaye jo tu

Surmai raat mein sahil ke kareeb

Doodhiya jode mein aa jaye jo tu

Tujhko bardasht na kar paaye khuda

Kasam se

Kasam se

Tujhko bardasht na kar paaye khuda

Chaudhavin raat ke is chaand tale

Surmai raat mein sahil ke kareeb

Doodhiya jode mein aa jaye jo tu

Chaudhavin raat ke is chaand tale

Chaudhavin raat ke is chaand tale

Hummiing (Chaudhavin raat ke is chaand tale)

Chaudhavin raat ke is chaand tale

End

More From Gulzar/Bhupendra Singh

See alllogo

You May Like