Aa
Hoo albari tera aadam mujhko dikhlawe ki
Cheez banaye
Kyun mujhko mere jism se aage
Samajh naa paaye
Oo al wali bolo aisa kyun hai
Mujh se paida hua hai jo wo
Har pal har dam mujhko kamzor bataayein
Jo thi tere wajud pe duniya
Baithi hai barood pe duniya
Mool toh sabko bhul gaya hai
Jeeti hai ab sood pe duniya
Saare kaayadein kitabein bhul gaye
Mitti me saare phool gaye
Mujhmein koyi baat nahi
Koyi aukaat nahi
Tu hai to hai shaan meri tu hi hai guroor
Kyun door
Tera noor
Zikr e ilaahi ka
Jab hai mujhko suroor
Ulfat ke bin kahan rehayi
Baat kisiko samjh naa aayi
Phir bhi sabko samajh baant ta
Ikk duniya mein har saudaayi
Zinda jajbaat nahi
Haq mein halaat nahi
Manoongi na haar mujhe hai
Fateh ka fitoor
Kyun door
Tera noor
Zikr e ilaahi ka jab hai
Mujhko suroor
Kyun door
Tera noor