Aalsi bole I'll see
Aalas ka laalchi
Hai marz ya marzi?
Baatein
kare badi badi
Phir hogi hadbadi
Hai farz ya farzi?
Ye hai bohot busy
Feeling lazy
Le ubasi
Har kaam ko bole nahi
Ye story hai iski
Ye aalas ki bimari
Jiska ilaj
Hai meethi si ek barfi
Bhookh lagi hai zoron ki
Na khayega ye phir bhi
Soong sake
ye abhi
Saamne hai padi barfi
Phir bhi chalna
Hai nahi
Iski aadatein hi aisi
Aalsi yeh
bole I'll see
Iska payt hai khali
Late hone
ki poori hai taiyaari
Barfi ho gayi hai baansi
Ab kya karega ye aalsi
Khata, teekha,
kachcha, karwa,
jo mile woh mile
hilne wala toh ye hai nahi
Chaabi
isne saahas ki
bhi hai ghuma di
aur ban gaya kaidi
Bas
sochta rahe
khulte nahi mere
bahane ke taale
Ye hai bohot busy
Feeling lazy
Le ubasi
Har kaam ko bole nahi
Ye story hai iski
Stuck in a circle of aaj, aaj nahi kal
Nikal, nikalna chahe, nikalna chahe har pal
Dheere dheere chadhe barfi pe keede
Aur ye bole kuch bhi khilade
Sapne adhure, ghayal irade
Jeene ki bhookh mitaake!
(Kabhi na jaage)
(Bhookh mitaake)
(Kabhi na jaage)
Khol ke dekh tu
khidki si aakhein
Kyun jaana hai tujhe
doosre se aage
Bol kya chaiye
Jaag na
Manzil ke peechhe
Tu bhag na
Bol kya chahiye
Jaag na
Manzil ke peechhe
Tu bhag na