menu-iconlogo
logo

Ye Raatein Ye Mausam Nadi Ka Kinara

logo
Lyrics
Yeh raaten, yeh mausam,

Nadee ka kinara,

yeh chanchal hawa

Yeh raaten, yeh mausam,

Nadee ka kinara,

Yeh chanchal hawa

Kaha do dilon ne,

ke milkar kabhi hum na honge judaa

Yeh kya baat hai aaj ki chandeni mein

Yeh kya baat hai aaj ki chandeni mein

Ke hum kho gaye pyaar ki raagani mein

Yeh bahon mein baahen, yeh behki nigahen

Lo aane laga zindagi ka maza

Yeh raaten, yeh mausam,

Nadee ka kinara, yeh chanchal hawa

Sitaron ki mehfil ne karke ishara

Sitaron ki mehfil ne karke ishara

Kaha ab to sara jahaan hai tumharaa

Mohabbat jawaan ho, khula aasman ho

Kare koi dil arzoo aur kya

Yeh raaten, yeh mausam,

Nadee ka kinara, yeh chanchal hawa

Kasam hai tumhe tum agar mujhse roothe

Kasam hai tumhe tum agar mujhse roothe

Rahe saans jab tak ye bandhan na toote

Tumhe dil diya hai, ye wada kiya hai

Sanam main tumhari rahoongi sada

Yeh raaten, yeh mausam,

Nadee ka kinara, yeh chanchal hawa

Kaha do dilon ne, ke milkar kabhi hum

Na honge judaa

Yeh raaten, yeh mausam,

Nadee ka kinara, yeh chanchal hawa