Dil ki mehfil me
Tu firse bulale
Mai mar raha
Mujhko tu hi bacha
Intezaar hi kara
Tujhko rok na saka
Ab na tera pata
Meri jaan haaa
Mai dhoondta hu bas
Yaha chehra tera
Mujhko miljana phir
Ek bar
Kisi mod pe hu aake khudko kho chuka mai
Jaana toota mera ghar poora tu banade
Ab sunta nahi koi hai mann ye mera cheekhta
Bheege mere gal tere sath hi bas theek tha
Ab tu bata, kaise manlu mai ye?
Jo hue hum juda, toh milenge fir nahi
Ye mera jurm, ki mujhko hogaya tha pyaar
Maine mana tujhko sab tune mana tha bas yaar
Intezaar hi kara
Tujhko rok na saka
Ab na tera pata
Meri jaan haaa
Mai dhoondta hu bas
Yaha chehra tera
Mujhko miljana phir
Ek bar
Tum nahi toh mai nahi
Jab tum nahi kuch hai nahi
Jab tum nahi toh kya galat
Aur kya sahi
Tu de sabak
Main besabar hoon aaj bhi
Jo tum nahi toh kya bachi hai zindagi?
Jabse likha khat main khudko padhna bhool gaya
Tujhse nikla jo main khudmein phasta aur gaya
Tu hi toh hai yaad mein
Jab has raha tha ro raha
Tu hi wo sawaal
In aksharo me jo piro raha
Tu sab kuch theek karde phir ek baar
Tu mujhse baat karle phir ek baar
Tu mujhse aaj mil le phir ek baar
Ek chamatkaar karde phir ek baar
Doob rahe teri saadgi mein hum
Doobe pehle ab toh teri aashiqui mein hum
Sunle geet toh fir ye gham hai lagte kam
Tu meri geet ye imtiaz ki filam
Intezaar hi kara
Tujhko rok na saka
Ab na tera pata
Meri jaan haaa
Mai dhoondta hu bas
Yaha chehra tera
Mujhko miljana phir
Ek bar