M Dheere dheere pyar ko badhana hai..
Had se guzar jana hai..
Dheere dheere pyar ko badhana hai..
Had se guzar jana hai..
F Mujhe bas tujhse dil lagana hai..
Had se guzar jana hai..
M Dheere dheere pyar ko badhana hai..
Had se guzar jana hai..
M Aisi zindagi hogi,
Har taraf khushi hogi
Itna pyar doonga tujhe,
Aye mere sanam
F Ab na koi gham hoga,
Na ye pyar kam hoga
Sathi mere mujhko
Tere sar ki hai kasam
M Ik dujhe ko aazmana hai
Had se guzar jana hai
F Dheere dheere pyar ko badhana hai
Had se guzar jana hai
M Main akela kya karta
Aise hi aanhe bharta
Tere pyar ke liye,
Tadapta umra bhar
F Jaane kya main kar jaati
Yoon tadap ke mar jaati
Bin tere bhala kaise,
Katata yeh safar
M Tere liye marke bhi dikhana hai..
Had se guzar jana hai..
F Dheere dheere pyar ko badhana hai..
Had se guzar jana hai..
F Tera chaand sa mukhada
Tu jigar ka hai tukada
Tu hamare sapano ki
Jhiil ka kanval
M Jaan se tu hai pyaara
Aankho ka tu hai taara
Bin tere jeeyenge
Ab ham na ek pal
F Sab kuchh tujhpe hi lutaana hai..
Had se guzar jana hai..
M Dheere dheere pyar ko badhana hai..
Had se guzar jana hai..
F Mujhe bas tujhse dil lagana hai..
Had se guzar jana hai..
M Ho had se guzar jana hai..
F Ha had se guzar jana hai..