Kabhi pyase ko paani pilaya nahin
Baad amrit pilane se kya faayda
Kabhi girte hue ko uthaya nahi
Baad aansoo bahane se kya faayada
Kabhi pyase ko paani pilaya nahi
Baad amrit pilane se kya faayda
Main to mandir gaya pooja aarti kee
Puja karte hue ye khayaal aa gaya
Main to mandir gaya pooja aarti kee
Puja karte hue ye khayaal aa gaya
Kabhi maa baap ki sewa ki hi nahi
Sirf pooja ke karne se kya faayda
Kabhi pyase ko pani pilaya nahi
Baad amrit pilane se kya faayda
Main to satsang gaya gurvaani suni
Gurvaani ko sunkar khayal aa gaya
Main to satsang gaya gurvaani suni
Gurvaani ko sunkar khayal aa gaya
Janm manav ka leke daya na kari
Phir manav kehlane se kya faayda
Kabhi pyase ko pani pilaya nahi
Baad amrit pilane se kya faayda
Maine daan kiya maine jap tap kiya
Daan karte hue ye khayal aa gaya
Maine daan kiya maine jap tap kiya
Daan karte hue ye khayal aa gaya
Kabhi bhookhe ko bhojan khilaya nahi
Daan laakhon ka karne se kya faayda
Kabhi pyase ko pani pilaya nahi
Baad amrit pilane se kya faayda
Ganga nahane haridwar kaashi gaya
Ganga nahate hi man mein khayal aa gaya
Ganga nahane haridwar kaashi gaya
Ganga nahate hi man mein khayal aa gaya
Tan ko dhoya magar man ko dhoya nahi
Phir ganga nahane se kya faayda
Kabhi pyase ko pani pilaya nahi
Baad amrit pilane se kya faayda
Maine ved padhe maine shaashtra padhe
Shaastra padhte hue ye khayala aa gaya
Maine ved padhe maine shaashtra padhe
Shaastra padhte hue ye khayala aa gaya
Maine gyan kisi ko baanta nahin
Phir gyani kehlane se kya faayda
Kabhi pyase ko pani pilaya nahi
Baad amrit pilane se kya faayda
Maa pita ke hi charnon mein chaaron dhaam hain
Aaja aaja yahi mukti ka dhaam hai
Maa pita ke hi charnon mein chaaron dhaam hain
Aaja aaja yahi mukti ka dhaam hai
Pita mata ki sewa ki hi nahi
Phir teerthon mein jaane se kya faayda
Kabhi pyase ko paani pilaya nahin
Baad amrit pilane se kya faayda
Kabhi girte hue ko uthaya nahi