Dil shaad tha ke phool
Khilenge bahaar mein
Maaraa gaya gareeb
Isee aitbaar mein
Mujhe teri muhabbat ka
Sahaaraa mil gaya hota
Mujhe teri muhabbat ka
Sahaaraa mil gaya hota
Agar toofaan nahin aataa,
Kinaaraa mil gaya hota
Mujhe teri muhabbat ka
Sahaaraa mil gaya hota
Agar toofaan nahin aataa,
Kinaaraa mil gaya hota
Mujhe teri muhabbat ka
Sahaaraa mil gaya hota
Na tha manzoor qismet ko
Na thi marzi bahaaron ki
Nahin to iss gulistaan mein
Nahin to iss gulistaan mein
Kami thi kyaa nazaaron ki
Meri nazron ko bhi koi
Nazaaraa mil gaya hota
Agar toofan nahin aata,
Kinaaraa mil gayaa hota
Mujhe teri muhabbat ka
Sahaaraa mil gaya hota
some memories can never be forgotten
Khushi se apni aankhon ko
Main ashqon se bhigo leta
Mere badle tu hans leti
Mere badle tu hans leti
Tere badle main ro leta
Mujhe ai kaash Tera dard
Saaraa mil gayaa hota
Agar toofan nahin aata
Kinaaraa mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka
Sahaaraa mil gaya hota
Mili hai chaandni jinko
Ye unki apni qismet hai
Mujhe apne muqaddar se
Mujhe apne muqaddar se
Fakhat itni shiqaqyat hai
Mujhe toota hua koyi
Sitaaraa mil gaya hota
Agar toofan nahin aataa,
Kinaaraa mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka
saharaa mil gaya hota