menu-iconlogo
huatong
huatong
avatar

Har Ek Jeevan

Lata Mangeshkarhuatong
withersjmjehuatong
Lyrics
Recordings
aa aa aaa aa aa aaa aa

har ek jeevan hai ek kahaani

par ye sachchai sabne na jaani

har ek jeevan hai ek kahaani

par ye sachchai sabne na jaani

jo paana hai wo khona hai

is pal hasna kal rona hai

har ek jeevan hai ek kahaani

par ye sachchai sabne na jaani

ek nirdhan ki ek bitiya thi

unki chhoti si duniya thi

din beet chale beeta bachpan

us gudiya pe aaya yovan

yovan ki masti ne

usko raah bhula di

pag fisal gaya wo cheekh padi

unchchai se khaayi mein giri

murjha gayi wo phoolon ki raani

par ye sachchai sabne na jaani

ek shahzada aa pahuncha wahan

tab jaa ke bachi ladki ki jaan

usse baahon mein le pyaar diya

singaar diyaa ghar dwaar diya

sapnon kiii bagiyaa mein

pyaara phool khila tha

phir pal bhar mein badli chhayi

barkha bijuri aandhi laayi

pal pal duwaayi maange deewani

par ye sachchai sabne na jaani

jag ke maalik meri hai khata

mere apne kyun paayen saza

mere raam se main

kahun kaise bata

jootha hoon ber main shabri ka

mujhko tuuu ab koi

aisi raah dikha de

meri mamta pe ilzaam na ho

sindoor mera badnaam na hoo

samjhe koi meri bezubaani

More From Lata Mangeshkar

See alllogo

You May Like