Aapki nazaron ne samjha,
Pyaar ke kabil mujhe
Dil ki ai dhadkan theher ja
Mil gayee manzil mujhe
Aapki nazron ne samjha
Ji hamein manzoor hai, aapka ye faysla
Ji hamein manzoor hai, aapka ye faysla
Keh rahi hai har nazar
Banda paravar shukriya
Do jahaan ki aaj khushiyan
Ho gayee haasil mujhe
Aapki nazron ne samjha
Pyaar ke kabil mujhe
Aapki nazron ne samjha
Aapki manzil hoon main
Meri manzil aap hain
Aapki manzil hoon main
Meri manzil aap hain
Kyon main toofaan se darun
Mere saahil aap hain
Koi tufanon se keh de
Mil gaya sahil mujhe
Aapki nazron ne samjha
Pyaar ke kabil mujhe
Aapki nazron ne samjha
Pad gayi dil par mere, aapki parchhaiyan
Pad gayi dil par mere, aapki parchhaiyan
Har taraf bajhne lagin
Saikadon shehnaaiyaan
Hanske apni zindagi mein,
Kar liya shaamil mujhe
Aapki nazron ne samjha
Pyaar ke kabil mujhe
Dil ki ai dhadkan theher ja
Mil gayee manzil mujhe
Aapki nazron ne samjha