Haye alamdaar, haye alamdaar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Karte hai matam haram abbas ka
Hogaya marna sitam abbas ka
Karte hai matam haram abbas ka
Hogaya marna sitam abbas ka
Karte hai matam haram abbas ka
Hogaya marna sitam abbas ka
Karte hai matam haram abbas ka
Hogaya marna sitam abbas ka
Haye alamdaar, haye alamdaar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Kehte the qamar thaam ke ye sayyede abraar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Ye haal hai laashe ka sambhala nahi jaata (sambhala nahi jaata)
Teer aankh se bhai ki nikala nahi jaata (nikala nahi jaata)
Imdaad ko aajaiye ya haider e qarrar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Zainab ne teri aas pe chhoda tha madina (chhoda tha madina)
Mai kaise batau use saqqaye sakina (saqqaye sakina)
Mara gaya zainab teri chadar ka nigehdaar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Tum qatl hue hum pe bhi chal jayegi shamsheer (chal jayegi shamsheer)
Aghyaar mein reh jaegi tanha meri hamsheer (tanha meri hamsheer)
Zainab ki rida bachne ke baaqi nahi aasaar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Jis tarha se ghar laye the masjid se Ali ko (masjid se Ali ko)
Us tarha se le jayenge khaime mein jari ko (khaime mein jari ko)
Akbar mere bhai ka janaza karo tayyar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Bazu bhi qalam hogaye ae bazu e shabbir (ae bazu e shabbir)
Tukde hai badan aankh mein paywast hua teer (paywast hua teer)
Kisne ye meri maa ki duao'n pe kiya waar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Aati hai sada loot lo namoos e nabi ko (namoos e nabi ko)
Ab maarna aasa'n hai Hussain ibn e ali ko (Hussain ibn e ali ko)
Marne pe tere jashn manate hai sitamgaar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Akbar hume mushkil se bohot laaye hai bhai (bohot laaye hai bhai)
Maidaan mein girte hue hum aaye hai bhai (hum aaye hai bhai)
Aakhein to zara kholo mere munis o ghumkhwaar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Ek baat tumhein karb ki batlata hu bhaiyya (batlata hu bhaiyya)
Jab bhi koi masuma ke marega tamacha (marega tamacha)
Ro ro ke pukaregi sakina tumhe har baar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Tha mir takallum yehi shabbir ka nauha (yehi shabbir ka nauha)
Jaate hue pura karo armaan hamara (armaan hamara)
Aye bhai hume bhai pukaro zara ek baar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Kehte the qamar thaam ke ye sayyede abraar
Haye alamdaar, haye alamdaar
Haye alamdaar, haye alamdaar