Mat kar Hame Qabool
Aye Nana saww ke Medine
Medina Aagaya jub yeh sada ubhar ne lagi
Yeh pusht e naka se Kusloom sa bain kar ne lagi
Luta ke aaie hai Zehra sa ke hum gharane ko
Na kar qubool medine hamare aane ko
Na kar qubool medine hamare aane ko
Luta ke aaie hai Zehra sa ke hum gharane ko
Na kar qubool medine hamare aane ko
Na kar qubool medine hamare aane ko
Bataie kaise jo hum par guzar gaya mehshar
Sare Hussain as tadap ta tha noke naiza par
Har ek shaher me mare gai humein patthar
Hamare chehro ke janib thi shamion ki nazar
Na hath me the yeh assas mooh chupane ko
Na kar qubool medine hamare aane ko
Na kar qubool medine hamare aane ko
Bichad ke apni bahan se dubara mil na saki
Woh dil me legai hasrat medine aane ki
Musibanon ke andheron me chal basi bacchi
Humein rehai mili woh hai aaj bhi kaidi
Basaliya hai Sakina sa ne kaid khane ko
Na kar qubool medine hamare aane ko
Na kar qubool medine hamare aane ko
Medina lut gai sarkar tere wali ki
Tere Hussain as ke sukhe gale pe teg chali
Bacha na Aabid e bimar as ke siva koi
Hamari godhian pardes me hui khali
Kadam uthai e nahi jaate ghar me aane ko
Na kar qubool medine hamare aane ko
Na kar qubool medine hamare aane ko
Gali gali me phiraya gaya garibon ko
Kadam kadam pe rulaya gaya garibon ko
Bicha ke kante chalaya gaya garibo ko
Tamsh giron me laaya gaya garibon ko
Sawab samjhaya gaya hai humein satane ko
Na kar qubool medine hamare aane ko
Na kar qubool medine hamare aane ko
Na likh sakega taklalum samaa woh tera kalam
The gird Ahle Medina Ajeeb Tha Alam
Yeh keh ke logo se utre siyanh pos haram
Yehan pe chal ne se honga Hussain as ka matam
Taras gaie the hum ashke aza bahane ko
Na kar qubool medine hamare aane ko
Na kar qubool medine hamare aane ko