menu-iconlogo
logo

Aye Khuda

logo
Lyrics

Kaisi khala yeh dil mein basi hai

Ab toh khatayein fitrat hi si hai

Main hi woh jo rehmat se gira

Aye khuda gir gaya, gir gaya

Main jo tujhse door huaa

Lut gaya, lut gaya

Aye khuda Gir gaya, gir gaya

Main jo tujh se door hua

Lut gaya, Lut gaya…

Kaisi khala yeh dil mein basi hai

Ab toh khatayein fitrat hi si hai

Main hi woh jo rehmat se gira

Aye khuda… gir gaya gir gaya

Main jo tujhse door huaa

Lut gaya, lut gaya…

Aye khuda…….

Aye khuda…….

Itni khatayein tu lekar chala hai

Daulat hi jaise tera ab khuda

Har pal bitaaye tu jaise hawa hai

Gunaah ke saaye mein chalta raha

Samandar sa behkar tu chalta hi gaya

Ter marzi puri ki tune har dafaa

Tu hi tera Mujrim bandeya

Aye khuda…Gir gaya, Gir gaya

Main jo tujhse door hua

Lut gaya, Lut gaya..

Kyun judtaa iss jahan se tu

Ik din yeh guzar hi jayega

Kitna bhi samet le yahan

Muthi se phisal hi jayega

Har shakhsh hai dhool se bhara

Aur phir usme hi jaa mila

Yeh haqiqat hai tu jaan le

Kyun sach se mooh hai pherta (Aaa…)

Chahe jo bhi hasrat poori kar le

Rukegi na fitrat yeh samajh le

Mit jayegi teri hasti

Bar na payega Yeh dil bandayaa

Aye khuda…Gir gaya Gir gaya

Main jo tujhse door hua

Lut gaya Lut gaya..

Agar tu soche tu hai gira

Mere haath ko thaam, Uth zara.!

Tere dil ke dar pe hoon khada

Mujhko apna le tu zara

Tu kahe tu hai saaye se ghira

Teri raahon ka main noor hoon

Tere gunaha ko khud pe le liya

Meri nazaron mein bekasoor tu

Aaa…

Aisa koi manzar tu dikh la de

Mujhe koi shaqs se milwa de

Aisa koi dil se tu sunwa de

ke zakhm koi use na mila

Aye khuda.. gir gaya, gir gaya…

Main jo tujhse door hua

Lut gaya Lut gaya..

Aaa… Aa.. aa…