Abhi na jao chhodkar
Ke dil abi bhara nahi
Abhi na jao chhodkar
Ke dil abhi bhara nahi
Abhi abhi toh aayi ho, abhi abhi toh
Abhi abhi toh aayi ho,
Bahar banke chhayi ho
Hawa zara mehak toh le,
Nazar zara behak toh le
Yeh shaam dhal toh le zara
Yeh shaam dhal toh le zara
Yeh dil sambhal toh le zara
Main thodi der jee toh loon
Nashe ke ghoont pee toh loon
Nashe ke ghoont pee toh loon
Abhi toh kuchh kaha nahi
Abhi toh kuchh suna nahi
Abhi na jao chhodkar
Ke dil abhi bhara nahi
Sitaare jhilmila uthe
Sitaare jhilmila uthe,
Charag jagmaga uthe
Bas ab na mujhko tokna
Bas ab na mujhko tokna
Na badhke raah rokna
Agar main ruk gayi abhi
Toh jaana paaungi kabhi
Yehi kahoge tum sada
Ke dil abhi nahi bhara
Jo khatm ho kisi jagah
Yeh aisa silsila nahi
Abhi nahi, abhi nahi,
Nahi nahi nahi nahi
Abhi na jao choodkar
Ke dil abhi bhara nahi
Adhoori aas, adhoori aas chhod ke
Adhoori pyaas chhod ke
Jo roz yun hi jaaogi
Toh kis tarah nibhaogi
Ke zindagi ki raah mein
Jawan dilonki chaah mein
Kayi makam aayenge
Jo humko aazmayenge
Bura na maano baat ka,
Yeh pyaar hai gila nahi
Haan yehi kahoge tum sada
Ke dil abhi bhara nahi
Haan dil abhi bhara nahi
Nahi nahi nahi nahi