Khuda bhi aasman se
jab Zamin par dekhta hoga
Khuda bhi aasman se
jab Zamin par dekhta hoga
Mere mehboob ko kis ne
banaya sochta hoga
Khuda bhi aasman se
jab Zamin par dekhta hoga
Mere mehboob ko kis ne
banaya sochta hoga
Khuda bhi aasman se
Musawir khud pareshan hai
ke ye taswir kiski hai
Banogi jiski tum aisi
hasin taqdir kiski hai
Kabhi woh jall raha hoga
kabhi khush ho raha hoga
Khuda bhi aasman se
jab zamin par dekhta hoga
Mere mehboob ko kis ne
banaya sochta hoga
Khuda bhi aasman se
Zamane bhar ki masti ko
nigahon mein sameta hai
Kali se jism ko kitni
baharon mein lapeta hai
Hua tumsa koy pehle
na koy dusra hoga
Khuda bhi aasman se
jab zamin par dekhta hoga
Mere mehoob ko kis ne
banaya sochta hoga
Khuda bhi aasman se
Farishte bhi yahan raton
ko aakar ghoomte honge
Jahan rakhti ho tum paoon
jageh wo choomte honge
Kisi ke dil pe kya guzri
ye wo hi janta hoga
Khuda bhi aasman se
jab zamin par dekhta hoga
Mere mehboob ko kis ne
banaya sochta hoga
Khuda bhi aasman se