Fim: Naag Mandir (1966) Rafi Sahab
Khaamosh zindagi ko
Aawaaz de rahe ho
Khaamosh zindagi ko
Aawaaz de rahe ho
Tute hue haathon mein
Kyun saaz de rahe ho
Khaamosh zindagi ko..
Be nuur meri aankhein
Aur duur kaa safar hai
Be nuur meri aankhein
Aur duur kaa safar hai
Uthate hain paaon lekin
Gir jaane kaa bhii dar hai
Par kaat ke kisi ke
Parawaaz de rahe ho
Tute hue haathon mein
Kyun saaz de rahe ho
Khaamosh zindagi ko...
Aankhon se behataa dariyaa
Honthon pe aah lekar
Aankhon se behataa dariyaa
Honthon pe aah lekar
Saahil pe hum khade hain
Saahil kii chaah lekar
Barbaad mohabbat ko naye
Andaaz de rahe ho
Tute hue haathon mein
Kyun saaz de rahe ho
Khaamosh zindagi ko...