Veerano mein hariyaali chhayi
Sookhe ban ne barkha paayi
Soorya ke rath se aaye Ram
Sabke nayak Rajaram
Jan sukhdaayak Rajaram
Fir se Ayodhya aaye more Ram
(Ram-Ram, Siya, Ram-Ram)
(Ram-Ram, Siya, Ram-Ram)
Mangal bhawan, amangal haari
Drawahu su dashrath ajar bihari
O, mangal bhawan, amangal haari
Drawahu su dashrath ajar bihari
Hari anant, Hari katha ananta
Kah′hi sunahi bahu bidhi sab santa
Sita Ram charit ati paawan
Madhur saras aur ati mann bhaawan
Puni-puni kitnehu sune sunaaye
Hiye ki pyaas bujhat naa bujhaaye
Tum ho Ayodhyapati Raghuraai
Tumhre hi gun sab jan gaayi
Tum jag daata, vishwa vidhata
Tum hi pita, aur tum hi ho maata
Bolo, "Ram, mere Ram, Siya-Ram"
Hey Ram, hey Ram
Hey Ram, hey Ram
Hey Ram, hey Ram
Hey Ram, hey Ram
Deep rakhe the jo chaukhat pe
Haathon se gher bachaaye the
Bhakti suman pe aas chhidak ke
Kab se nain bichhaaye the
Meri jhopdi ke bhaag aaj khul gaye hain
Ram aayein hain
Meri jhopdi ke bhaag aaj khul gaye hain
Ram aayein hain
Ram aayein hain, aayein hain, Ram aayein hain
Ram aayein hain, aayein hain, Ram aayein hain
Tum ho Ayodhyapati Raghuraai
Tumhre hi gun sab jan gaayi
Tum jag daata, vishwa vidhata
Tum hi pita, aur tum hi ho maata
Bolo, "Ram, mere Ram, Siya-Ram"
Hey Ram, hey Ram
Hey Ram, hey Ram
Hey Ram, hey Ram
Hey Ram, hey Ram
Ram, Ram, Ram
Siya-Ram, Ram, Ram
Aaj padhare dil ke dwaare Ram-Siya ke qaum
Chhavi basi tihaari dil mein, jaise van mein gaaon
Naina yeh adheer mere hain Shabri ke hi jaise
Taaro tere praani ko, hey Prabhu, milne aao
Setu pe jis pair dhare, wo patthar hi bana do
Tinke jaisa jhopdi mein, ya mujhko saja do
Dhool tere khada hoon ki ya maathe pe laga do
Bol, Prabhu sa rang kiye mujhko tum bana do
Dil bana Ayodhya, Rammaye aaj mann
Dil ke khule dwaar, hua teeno ka hi aagman
Dekhe chhavi Prabhu ki toh bhara mera ghaav har
Rakhe maine jaan meri, Prabhu, tere paanv per
Naina pulkit, mann hai harshit
Ram rajya mein sab aanandit
Grah, nakshatra, sab subh ke bhaav mein
Nabh, jal, thal mein Ram hain shobit
Sab ke ander ek Shabri hai
Naa koi bhed hai, naa koi fer hai
Sab ki shraddha bhog chakhaaun
Sab ke haath mein ek ber hai
Ram, Ram, Ram, Ram
Jay Hanuman, Prabhu ke rakshak
Tum Hanumanta, Ram samarpit, ati balwanta
Ram darbar ki Hanumat shobha
Hanuman sa koi na dooja
Hanumat jab karte hain koi kaam
Pehle kehte, "Jay shree Ram"
Baahubali, teri adbhud shakti
Ram pujaari atulit bhakti
Jay Hanuman, jay-jay Hanuman
Jay Hanuman, jay-jay Hanuman
Jay Hanuman, jay-jay Hanuman
Shree Ramchandra ji ke darbar mein Vibhishan ne taana maara
"Hey Bajrangi, kya tere mann mein bhi Ram hai?"
Hanuman ji ne Ram ji na naam liya aur seena faad daala
Le dekh, "Jay shree Ram!"
Shree Ram-Jaanki baithe hain mere seene mein
Shree Ram-Jaanki baithe hain mere seene mein
Dekh lo mere dil ke nageene mein
Dekh lo mere dil ke nageene mein
Shree Ram-Jaanki baithe hain mere seene mein
Ho, mangal bhawan, amangal haari
Drawahu su dashrath ajar bihari
Sita Ram charit ati paawan
Madhur saras aur ati mann bhaawan
Tum ho Ayodhyapati Raghuraai
Tumhre hi gun sab jan gaayi
Tum jag daata, vishwa vidhata
Tum hi pita aur tum hi ho maata
Bolo, "Ram, mere Ram, Siya-Ram"
Hey Ram, hey Ram
Hey Ram, hey Ram
Hey Ram, hey Ram
Hey Ram, hey Ram
Hey Ram, hey Ram
Hey Ram, hey Ram