Chor bazaari do nainon ki
Pehle thi aadat jo hatt gayi
Pyaar ki jo teri meri
Umr aayi thi wo kat gayi
Duniya ki to fikar kahan thi
Teri bhi ab chinta ghat gayi
Tu bhi tu hai
Main bhi main hoon
Duniya saari dekh ulat gayi
Tu na jaane main na jaanu
Kaise saari baat palat gayi
Ghatni hi thi ye bhi ghatna
Ghatte ghatte lo ye ghat gayi
Haan chor bazaari do nainon ki
Pehle thi aadat jo hatt gayi
Taarif teri karna
Tujhe khone se darna
Haan bhool gaya ab
Tujhpe din mein
Chaar dafa marna
Taarif teri karna
Tujhe khone se darna
Haan bhool gaya ab
Tujhpe din mein
Chaar dafa marna
Pyaar khumaari utri saari
Baaton ki badli bhi chhat gayi
Hum se main pe aayi aise
Mujhko to main hi main ratt gayi
Ek huye the do se dono
Dono ki ab raahein kat gayi
Ab koi fikar nahin
Ghum ka bhi jikar nahin
Haan
Hota hoon main jis raste pe
Aaye khushi wahin
Aazaad hoon main tujhse
Aazaad hai tu mujhse
Haan jo jee chahe
Jaise chahe karle aaj yahin
Laaj sharam ki
Chhoti moti
Jo thi dori
Wo bhi kat gayi
Chowk chaubaare
Gali mohalle
Khol ke main
Saare ghoonghat gayi
Tu na badli
Main na badla
Dilli saari dekh
Badal gayi
Ek ghoont mein
Duniya daari ki main saari
Samajh nigal gayi
Rang biranga paani pee ke
Seedhi saadi kudi bigad gayi
Dekh ke mujhko hansta gaata
Sad gayi ye duniya sad gayi