Tu hi haqeeqat
Khwwab tu
Dariya tu hi
Pyaas tu
Tu hi dil ke beqarari
Tu sukun Tu sukun
Jau mein ab jab Jis jagah
Paoon mein tujhko Us jagah
Saath ho ke na ho Tu hai
Roobaru Roobaru
Tu Humsafar Tu Humkadam
Tu Hamnava Mera
Tu Humsafar Tu Humkadam
Tu Hamnava Mera
Aa tujhe in bahon mein bharke
Aur bhi kar loon main kareeb
Tu juda ho to lage hai
Aata jata har pal ajeeb
Is jahan main aur na hoga
Mujhsa koi bhi kushnaseeb
Tune mujhko dil diya hai
Mein hoon tere sabse kareeb
Mein hi to tere dil main hoon
Mein hi to saason mein basu
Tere dil ki dhadkano mein
Mein hi hoon
Mein hi hoon
Tu Humsafar Tu Humkadam
Tu Hamnava Mera
Tu Humsafar Tu Humkadam
Tu Hamnava Mera
Kab bhala ab yeh waqt guzre
Kuch pata chalta hi nahi
Jab se mujhko tu mila hai
Hosh kuch bhi apna nahi
Uff yeh teri palkein ghani si
Chaanv in ki hai dilnasheen
Ab kise darr dhoop ka hai Kyun ki hai yeh mujhpe beechi
Tere bina na saans loon
Tere bina na main jiyun
Tere bina na ek pal bhi
Reh sakun Reh sakun
Tu hi haqeeqat
Khwwab tu
Dariya tu hi
Pyaas tu
Tu hi dil ke beqarari
Tu sukun Tu sukun
Tu Humsafar Tu Humkadam
Tu Hamnava Mera
Tu Humsafar Tu Humkadam
Tu Hamnava Mera