nikle the kabhi hum ghar se
ghar dil se magar nahi nikla
ghar basa hai har dhadkan mein
kya karein hum aise dil ka ?
badi door se aaye hain
badi der se aaye hain
par ye na koi samjhe
hum log paraaye hain
kat jaaye patang jaise
aur bhatke hawayon mein
sach pucho toh aise
din humne bitaaye hain
par yeh na koi samjhe
hum log paraaye hain
yehi nagar yehi hai basti
aankhein thi jise tarasti
yahaan khushiyan thi kitni sasti
jaani pehchaani galiyan
lagti hain purani sakhiyan
kahaan kho gayi woh rang raliyan ?
bazaar mein chai ke dhaabe
bekaar ke shor sharaabe
woh dost woh unki baatein
woh saare din sab raatein
kitna gehra tha gham
inn sab ko khone ka
yeh keh nahi paaye hum
dil mein hi chupaaye hain
par ye na koi samjhe
hum log paraaye hain
ghar dil se magar nahi nikla
ghar basa hain har dhadkan mein
kya kare hum aise dil ka ?
kya humse hua, kya ho na saka par itna toh karna hain
jiss dharti pe janme the, uss dharti pe marna hain