menu-iconlogo
logo

Afreen Afreen

logo
Lyrics
Aisa dekha naheen khoob soorat koyi

Jism jaise ajanta ki moorat koyi

Jism jaise nigaahon pah jaadu koyi

Jism naghmah koyi

Jism khush bu koyi

Jism jaise mahakti hui chandani

Jism jaise machalti hui raagini

Jism jaise kih khilta hua ik chaman

Jism jaise kih sooraj ki pahli kiran

Jism tarsha huwa dil kash o dil nisheen

Sandaleen sandaleen

Marmareen marmareen

Husn e jaanaan ki

tareef mumkin nahi ( 2)

Afreen afreen

Afreen afreen

Tu bhi dekhe agar to kahe ham nisheen

Afreen afreen

Afreen afreen

Husn e jaanaan ki

tareef mumkin nahi ( 2)

Jaane kaise baandhe tu ne akhiyon ke dor

Man mera khincha chala aaya teri or

Mere chehre ke subh zulfon ki shaam

Mera sab kuchh hai piya ab se tere naam

Nazron ne teri chhuwa

To hai yih jaadu hua

Hone lagi hoon main haseen

Aafreen Aafreen Aafreen ( 4)

Chehra ik phool ki tarh shaadaab hai

Chehra us ka hai ya koyi mahtaab hai

Chehra jaise ghazal chehra jaan I ghazal

Chehra jaise kali chehra jaise kanwal

Chehra jaise tasawwur bhi tasweer bhi

Chehra ik khaab bhi chehra taa’beer bhi

Chehra koyi alf lailawi daastaan

Chehra ik pal yaqeen

chehra ik pal gumaan

Chehra jaisa ke chehra kaheen bhi nahi

Maah ru maah ru mah jabeen mah jabeen

Husn e jaanaan ki

tareef mumkin nahi ( 2)

Afreen afreen

Afreen afreen

Tu bhi dekhe agar to kahe ham nisheen

Afreen afreen

Afreen afreen

Husn e jaanaan ki

tareef mumkin nahi ( 2)

Afreen Afreen by Rahat Fateh Ali Khan/Momina Mustehsan - Lyrics & Covers