menu-iconlogo
logo

Kanipatu

logo
Lyrics
Jungle sheher

Aadivaasi bolchaal

Dhoond-ne aag mein nikla

Thande pade bohot saal

Abhi bhi nau se chaar ke beechmein dheet

Karenge saabko train yaha train ke hi anusar

KANIPATU

Likhta mein verse toh saare maange yaha part two

Mein dhaatu jo pade tere mooh pe

Mein paath hu jo padhe tere crew mein

Mein haath hu jo gaade tujhe bhoo mein

Thoo be!

Flow mein itna range

Karta mein call-out

Khelta jaise Dame

Haa karta ball-out

No directions Zayn

I might just fall out

Bhinbhinaate macchhar

Haa jaata all-out

Ghanan ghanan mеri aankh jo ye barse

Karam karam karu haath merе tarse

Vajan vajan meri baat mein jo hakk se

Ye Hazam hazam na ho nazmein jo likhte

Toh-

Kholo ye aankhein saari karne dete taandav bhi

Hum bhi toh raaston pe ghoome karte mandavli

Sirf paison ke peechhe daudte

Kyu road pe?

Ye sabka dimaag

Saala chalta sirf comode pe

Hum todte na vaade

Kyu ke aadat nai

Kaha-vatt se ye baatein bas kahavat nai

Na dikhta purab na pashchim

Na mandir na mazjid

Na aankh pe ye patti

Mein adaalat nai

Jungle sheher

Aadivasi bolchaal

Dhoondne aag mein nikla

Thande pade bohot saal

Zabaan chale meri metro si

Par baatein local

Na khuli yaha vacancy, par raatein khokar

Mein jaaga sapnon ke sheher mein

Yaha shor keher mein seekha ek hi baat

Ki Yaha Vaerdaat ke samay saath chhoote

Haath chhoote

Saath joote

Bane gale mein maala

Jab baat jhooti

Baajuke, log jhume badmein ye gaano par

Kate ye naak par chalne waale zabaano par

Bandhe ye haath par likhne-waale deewaano par

Padhe prabhaav aane waale ye zamaano par

Kha thokar

Meri ek hi salah

Haath jode

Pujle tu kala

Gava dete

Fir mang-te kyu gavaah

Ye sheher ki hava mein bas savaal

Na javaab!

Kanipatu by Rishi Rich/Yashraj - Lyrics & Covers