Teri aankhon ki namkeen mastiyan 
Teri hansi ki beparwaah gustakhiyaan 
Teri zulfon ki leharaati angdaiyaan 
Nahi bhoolunga main 
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan 
Tera haath se haath chhodna 
Tera saayon se rukh modna 
Tera palat ke phir na dekhna 
Nahin maaf karunga main 
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan 
Baarishon mein bedhadak tere naachne se 
Baat baat pe bewajah tere roothne se 
Chhoti chhoti teri 
bachkani badmashiyon se 
Mohabbat karunga main 
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan.. 
Tere jhoothe kasme vaadon se 
Tere jalte sulagte khwabon se 
Teri be raham duaaon se 
Nafrat karunga main 
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan