
Main Shaayar To Nahin
main shaayar to nahin
main shaayar to nahin
magar aye haseen
jab se dekha
maine tujhko mujhko
shaayari aa gayi
main shaayar to nahin
magar aye haseen
jab se dekha
maine tujhko mujhko
shaayari aa gayi
main aashique to nahin
magar aye haseen
jab se dekha
maine tujhko mujhko
aashiquie aa gayi
main shaayar to nahin
pyaar kaa naam maine
suna tha magar
pyaar kya hai
ye mujhko
nahin thi khabar
pyaar kaa naam maine
suna tha magar
pyaar kya hai
ye mujhko
nahin thi khabar
main to uljha raha
uljhano ki tarah
dosto mein raha
dushmanon ki tarah
main dushman to nahin
main dushman to nahin
magar aye haseen
jab se dekha
maine tujhko mujhko
dosti aa gayi
main shaayar to nahin
sochtaa hoon agar main
dua maangtaa
haath apne utha kar
main kya maangta
sochtaa hoon agar main
dua maangtaa
haath apne utha kar
main kya maangta
jab se tujhse muhabbat
main karne laga
tab se jaise ibaadat
main karne laga
main kaafir to nahin
main kaafir to nahin
magar aye haseen
jab se dekha
maine tujhko mujhko
bandagi aa gayi
main shaayar to nahin
magar aye haseen
jab se dekha
maine tujhko mujhko
shaayari aa gayi
main shaayar to nahin
Main Shaayar To Nahin by Shailender Singh - Lyrics & Covers