Jaise suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Aisa hi sukh mere mann ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere ram
Suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Bhatka hua mera mann tha koi
Mil na raha tha sahaara
Bhatka hua mera mann tha koi
Mil na raha tha sahaara
Laheron se ladti hui naav ko
Laheron se ladti hui naav ko
Jaise mil na raha ho kinaara
Mil na raha ho kinaara
Us ladkhadaati hui naav ko jo
Kisi ne kinaara dikhaaya
Aisa hi sukh mere mann ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere ram
Suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Sheetal bani aag chandan ke jaisi
Raaghav krupa ho jo teri
Sheetal bani aag chandan ke jaisi
Raaghav krupa ho jo teri
Ujiyaali poonam ki ho jaaye raatein
Jo thi amaavas andheri
Ujiyaali poonam ki ho jaaye raatein
Jo thi amaavas andheri
Yug yug se pyaasi marubhumi ne jaise
Saawan ka sandes paaya
Aisa hi sukh mere mann ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere ram
Suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Jis raah ki manzil tera milan ho
Us par kadam main badhaaoon
Jis raah ki manzil tera milan ho
Us par kadam main badhaaoon
Phoolon mein kaaton mein
patjhad bahaaron mein
Main na kabhi dagmagaaoon
Phoolon mein kaaton mein
patjhad bahaaron mein
Main na kabhi dagmagaaoon
Main na kabhi dagmagaaoon
Paani ke pyaase ko taqdeer ne jaise
Jee bhar ke amrit pilaaya
Paani ke pyaase ko taqdeer ne jaise
Jee bhar ke amrit pilaaya
Aisa hi sukh mere mann ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere ram
Suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Aisa hi sukh mere mann ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere ram
Suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya